HOW TO CREATE YOUTUBE CHANNEL IN HINDI
Dosto aaj ke time me Youtube Media kafi popular ho gya ha. Ajj sbi log Youtube par channel create karna chahte hn. Youtube ek aisa platform ha. yha se ham kisi bhi parkar ki video search karke dkh sakte han aur Youtube dusre number ka search engine ata ha. Yha par sabse jyeda keyword search kiye jate han. Lekin faist no par Google search engine ata ha.
Dosto Youtube par hame har trh ki language me videos mil jati han chahe bo koi bhi language ho aur kisi bhi cuntury ki kyu na ho. Youtube par daily latest songs upload hoti han. Aur sbhi trh ki Movies bhi upload hoti ha. Agar ham kisi Infomation ki bat kare yha par kaise bhi catagory ki Infomation ho hame bdi asani se mil jati ha.
How to create Youtube channel in hindi, youtube channel kaise create kare
Ham me se bhut sare log Youtube par channel bnana chahte honge aur kafi ka already bna bhi hoga. Lekin kuch logo ko Youtube channel bnana nhi ata hoga so aaj me is post me apko btao ga ki youtube par channel kaise create karte han.
Friends agar aap ek youtube channel bnana chahte han to iska matlab aap ek youtube user honge aur apke pas ek mobile ya phir laptop to pka hoga. Normal si bat ha ki apke pas ek Google Account to hoga hi jise ham ek Gmail account bhi bol dete han. Agar nhi ha to aap yha par click karke create kar skate ha.
Dosto Agar apke pas ek Google account ha to smj lo apka Youtube Channel already bna hua ha. Kyuki Youtube ek Google ka hi Product ha. jab ham Google par Account create karte han to hame bhut sare Product use karne ko milte han jo ki Google ki trf se bnea hua han.
Youtube channel kaise create kare full toturial:
Youtube channel create karne ke liye aapko sabse pahle Youtube ki official site par jana hoga.
Step 1: sabse pahle Youtube.com par jaye uske bad apke samne youtube ka home page khule ga. Iske right side me login par click kare.
2: Ab apne Gmail account se login kare Email Address aur password fill karke apna account login kare.
3: Ab aap login kar chuke ho iske bad aapko my channel me jana hoga left side me apko ek My Channel ka option milega yha par click kare.
4: Agar apne Google plus profile create ki hue ha. to apka channel pahle se hi create hoga. Agar nhi ki ha to lar le kyu ki Google plus account hi Youtube par kam karta ha app jo bhi Google plus profile me set kare ge bhi apke Channel me ayega. Agar apne phle se apna account banea hua ha. to use ham edit karke name change kar sakte han. iske bad apko ek Gear icon dikhe ga is icon par click kare.
5: Gear Icon par click karte hi jo window ayegi usme apko ek option See all my channel or create a new channel par click kare.
6: Next screen me apko create a new channel aur agar pahle koi channel ha to uska name dikhe ga. Apko create a new channel par click karna hoga.
7: Iske bad jo screen milega usme hame Brand Account ke samne bale box me Channel ka name type karna hoga jis name ka aap channel chahte han. Name type karne ke bad create channel par click kare.
8: Iske bad jo screen khulega usme apka channel create ho chuka ha. isme apko kafi sari options dekhne ko milegi jisme Profile pic lgana, channel art lagana aur channel ka description.
Profile pic bale Icon par click karke ham apne channel ki Dp lga sakte han.
Channel Art bli option se ham channel ki cover pic lga sakte hn. (Youtube channel Art size 2560 px by 1440 px hota ha.)
Channel description click karke ham channel ke bare me kuch lines likh sakte ham jise ham About channel bhi kahte han.
Gear box par kake aap apne channel ko edit kar skte han is window me hame ek Advanced setting ki option milegi yha par click karke ham apne channel ka name change kar skte han channel ki country set kar sakte han aur keyword set karskte han.
Dosto ab apka channel puri tarh se ready ha. ab ham isme videos upload kar sakte han. Videos upload karne ke tricke ka Artical ham apke liye jald layege. THANK YOU!
0 Comments